Shamim Hanafi

Shamim Hanafi
the man,the vision

Friday, March 2, 2012

band kar le khirkiyaan


Band kar le khirkiyan yun raat ko baahar na dekh
Doobti aankhon se apne shehr ka manzar na dekh
Kya pata zanjeer mein dhal jaaye bistar ki shikan
Yeh safar ka waqt hai ab jaanib bistar na dekh
Khaak-o-khoon meraas teri khaak-o-khoon tera naseeb
Is zeyaan khaane mein apne paaon ka chakkar na dekh
Toone jo parchhaaiyan chhorein woh sehra ban gayeein
Aye nigaare waqt ab peechhe kabhi mur kar na dekh

..shamim hanafi

No comments:

Post a Comment